jo  nahīñ  jāntā  huuñ  ḳhalq-e-ḳhudā  pūchhtī  hai
mujh  se  har  moḌ  pe  ab  merā  patā  pūchhtī  hai
be-amāñ  dekh  ke  TuuTe  hue  pattoñ  kī  tarah
le  chalūñ  tujh  ko  kidhar  mujh  se  havā  pūchhtī  hai
mujh  meñ  vo  kaun  sī  shai  hai  jo  har  ik  pal  mujh  se
honā  kab  qaid-e-badan  se  hai  rihā  pūchhtī  hai
dekh  kar  jis  ko  sabhī  log  haiñ  ghabrā.e  hue
ḳhairiyat  merī  vahī  rāh-e-fanā  pūchhtī  hai
muntazir  kab  se  mirī  tishna-labī  thī  jis  kī
vo  ghaTā  mujh  se  samundar  kā  pata  pūchhtī  hai
zarre  zarre  kī  zabāñ  par  hai  kahānī  merī
mujh  se  ye  duniyā  mire  baare  meñ  kyā  pūchhtī  hai
dasht-e-zulmat  hai  mujhe  shahr-e-nigārāñ  'naushād'
hāl-e-dil  mujh  se  sitāroñ  kī  ziyā  pūchhtī  hai