Naushad Ahmad Kareemi

Dhalegi raat to niklega aaftab koi

Naushad Ahmad Kareemi

Bettiah, Bihar, India

1969

Dhalegī raat to niklegā āftāb koī

ki shahr-e-ḳhvāb pe aa.egā phir azaab koī

kisī zikr kahāñ hai mirī kahānī meñ

na jaane kis liye itnā hai aab aab koī

baḌā hasīn manzar hai apnī āñkhoñ meñ

dikhā.ī detā hai paanī meñ māhtāb koī

na kaam aa sakīñ hāzir-javābiyāñ merī

mujhe bhī kar gayā pal-bhar meñ lā-javāb koī

maiñ chaah kar bhī kisī moḌ par nahīñ ruktā

dil-o-nigāh meñ rahtā hai iztirāb koī

maiñ harf harf ise paḌh rahā huuñ barsoñ se

ye sail-e-vaqt hai jaise khulī kitāb koī

ye ehtimām-e-nazāra bhī ḳhuub hai 'naushād'

dikhāne aa.ī hai duniyā mujhe bhī ḳhvāb koī

Top Urdushayar.com