tilsim-e-shab  se  bahut  be-ḳhabar  chale  aa.e
ye  kyā  ki  shaam  Dhale  yaar  ghar  chale  aa.e
kashish  kuchh  aisī  thī  miTTī  kī  baas  meñ  ham  log
qazā  kā  daam  bichhā  thā  magar  chale  aa.e
ajab  hai  kyā  jo  mile  vo  hameñ  dobāra  bhī
ham  ek  ḳhvāb  meñ  bār-e-digar  chale  aa.e
ḳhirām  kartī  havāoñ  pe  tairte  nashshe
chalā  vo  shoḳh  jidhar  ko  udhar  chale  aa.e
khulī  jo  aañkh  to  vīrān  thā  har  ik  manzar
Dhalī  jo  raat  to  kyā  kyā  na  Dar  chale  aa.e
vo  āhaTeñ  bhī  kahīñ  kho  ga.iiñ  hamesha  meñ
hamārī  samt  bhaTakte  khañDar  chale  aa.e
ham  ahl-e-shauq  ko  sahrā  kī  vus.atoñ  meñ  'atā'
asiir  karne  ko  dīvār-o-dar  chale  aa.e