kise  dimāġh  ki  uljhe  tilism-e-zāt  ke  saath
ulajh  rahā  huuñ  abhī  terī  kā.enāt  ke  saath
maiñ  dīd-bān  azal  se  jidhar  bhī  dekhtā  thā
shikasta  jaam  paḌā  hai  ajā.ibāt  ke  saath
nikal  gayā  thā  maiñ  ik  roz  ḳhāk-dāñ  kī  taraf
guzar  rahī  hai  shab  o  roz  hādsāt  ke  saath
maiñ  Duub  Duub  gayā  be-nishāñ  bhañvar  meñ  kahīñ
ḳhalā  meñ  raqs-kunāñ  ghūmtī  praat  ke  saath
muhīt-e-āb  meñ  har  saañs  Doltī  nayyā
ġham-e-vajūd  juḌā  hai  ġham-e-hayāt  ke  saath
vahī  haram  hai  vahī  but  vahī  pujārī  haiñ
vahī  diloñ  kā  ta.alluq  hai  somnāt  ke  saath
bikhar  bikhar  gayā  ik  mauj-e-rā.egāñ  kī  tarah
kisī  kī  jiit  kā  nashsha  kisī  kī  maat  ke  saath
ḳhizāñ  kī  shaal  meñ  lipTe  shajar  pe  parvāne
numū  ke  giit  likhe  rañg-e-mumkināt  ke  saath
qadam  qadam  pe  ulajhnā  vo  be-sabab  dil  kā
hai  ab  to  roz  kā  ma.amūl  pāñch  saat  ke  saath
hazār  talḳh  sahī  phir  bhī  ḳhush-navā  hai  bahut
kisī  charāġh  kā  lahja  siyāh  raat  ke  saath
sunā  hai  mausam-e-be-rañgi-e-zamāñ  yaksar
badal  gayā  hai  tirī  chashm-e-iltifāt  ke  saath
maiñ  ab  bhī  maazī  kī  galiyoñ  meñ  jā  nikaltā  huuñ
paḌī  hai  TaaT  pe  taḳhtī  qalam  davāt  ke  saath
bahut  dinoñ  vo  rahā  hai  isī  khañDar  meñ  muqīm
so  rakh  diyā  hai  ye  dil  bhī  navādirāt  ke  saath
ye  bastiyoñ  pe  ajab  vahshatoñ  kā  mausam  hai
numū-pazīr  huā  hai  taġhayyurāt  ke  saath
maiñ  kunj-e-zāt  se  niklā  to  yuuñ  huā  ki  'atā'
kuchh  aur  phail  gayā  ġham  bhī  shash-jahāt  ke  saath