ḳhudā  ko  āzmānā  chāhtā  huuñ
maiñ  ye  duniyā  jalānā  chāhtā  huuñ
kisī  shā.ir  se  us  kī  zindagī  ke
maiñ  saare  ġham  churānā  chāhtā  huuñ
maiñ  rūh-e-'jaun'  ko  jannat  meñ  jā  kar
gale  kas  kar  lagānā  chāhtā  huuñ
tirī  chhat  par  Tañge  sab  pairahan  se
tirī  ḳhushbū  churānā  chāhtā  huuñ
faqat  mad.hosh  ho  kar  kyā  maza  hai
maiñ  pī  kar  laḌkhaḌānā  chāhtā  huuñ
ghaḌī  ke  kāñToñ  ko  ulTā  ghumā  kar
samay  ko  maiñ  bachānā  chāhtā  huuñ
shajar  ko  kaaT  kar  maiñ  ḳhuub  royā
maiñ  apnā  ghar  banānā  chāhtā  huuñ
na.e  hāthoñ  meñ  maiñ  pustak  thamā  kar
sabhī  sarhad  miTānā  chāhtā  huuñ
use  kah  kar  kī  ab  bhī  hai  mohabbat
maiñ  us  kā  dil  dukhānā  chāhtā  huuñ
kisī  ma.asūm  bachche  kī  tarah  maiñ
ḳhudā  ko  sab  batānā  chāhtā  huuñ