ye  jo  phailā  huā  zamāna  hai
is  kā  raqba  ġharīb-ḳhāna  hai
koī  manzar  sadā  nahīñ  rahtā
har  ta.alluq  musāfirāna  hai
des  pardes  kyā  parindoñ  kā
āb-o-dāna  hī  āshiyāna  hai
kaisī  masjid  kahāñ  kā  but-ḳhāna
har  jagah  us  kā  āstāna  hai
ishq  kī  umr  kam  hī  hotī  hai
baaqī  jo  kuchh  hai  dostāna  hai