muñh  kī  baat  sune  har  koī  dil  ke  dard  ko  jaane  kaun
āvāzoñ  ke  bāzāroñ  meñ  ḳhāmoshī  pahchāne  kaun
sadiyoñ  sadiyoñ  vahī  tamāsha  rasta  rasta  lambī  khoj
lekin  jab  ham  mil  jaate  haiñ  kho  jaatā  hai  jaane  kaun
vo  merī  parchhā.īñ  hai  yā  maiñ  us  kā  ā.īna  huuñ
mere  hī  ghar  meñ  rahtā  hai  mujh  jaisā  hī  jaane  kaun
jaane  kyā  kyā  bol  rahā  thā  sarhad  pyaar  kitābeñ  ḳhuun
kal  merī  nīndoñ  meñ  chhup  kar  jaag  rahā  thā  jaane  kaun
kiran  kiran  alsātā  sūraj  palak  palak  khultī  nīndeñ
dhīme  dhīme  bikhar  rahā  hai  zarra  zarra  jaane  kaun