tanhā  tanhā  dukh  jheleñge  mahfil  mahfil  gā.eñge
jab  tak  aañsū  paas  raheñge  tab  tak  giit  sunā.eñge
tum  jo  socho  vo  tum  jaano  ham  to  apnī  kahte  haiñ
der  na  karnā  ghar  aane  meñ  varna  ghar  kho  jā.eñge
bachchoñ  ke  chhoTe  hāthoñ  ko  chāñd  sitāre  chhūne  do
chaar  kitābeñ  paḌh  kar  ye  bhī  ham  jaise  ho  jā.eñge
achchhī  sūrat  vaale  saare  patthar-dil  hoñ  mumkin  hai
ham  to  us  din  raa.e  deñge  jis  din  dhokā  khā.eñge
kin  rāhoñ  se  safar  hai  āsāñ  kaun  sā  rasta  mushkil  hai
ham  bhī  jab  thak  kar  baiTheñge  auroñ  ko  samjhā.eñge