Marghoob Ali

dhundle dhundle peD ugti sham ki sargoshiyan

Marghoob Ali

Najeebabad, Uttar pradesh, India

1952

dhuñdle dhuñdle peḌ ugtī shaam sargoshiyāñ

jo hai shah-e-rag ke qarīñ us naam sargoshiyāñ

jab bhī sochā sar uThā kar ab jiyeñge kuchh dinoñ

gher letī haiñ hameñ anjām sargoshiyāñ

phir galī kūchoñ meñ sannāToñ shāyad raqs ho

bāñTte haiñ log ik paiġhām sargoshiyāñ

kyuuñ qabīle meñ bahut se log bad-zan ho ga.e

chāñd ne sun thiiñ kal kyā baam sargoshiyāñ

raat qatra qatra Tapkeñ aañkh se majbūriyāñ

shaam lamha lamha ubhrīñ jaam sargoshiyāñ

aane vaalī rut meñ bhī shāyad na banñe deñ hameñ

aaj tak guzre hue ayyām sargoshiyāñ

Top Urdushayar.com