mujhe  mushkil  meñ  yuuñ  andāza-e-mushkil  nahīñ  hotā
kabhī  maiñ  kasrat-e-afkār  se  bad-dil  nahīñ  hotā
agar  honā  paḌe  mannat-kash-e-amvāj  bhī  mujh  ko
tū  phir  merī  ḳhudī  ko  kuchh  ġham-e-sāhil  nahīñ  hotā
nahīñ  kuchh  pās-e-ġhairat  jis  ko  us  kā  zikr  hī  kyā  hai
jo  ġhairat-mañd  hai  vo  dar-ba-dar  saa.il  nahīñ  hotā
jhukā  kartī  haiñ  vo  shāḳheñ  jo  hotī  haiñ  samar-āvar
vahī  hotā  hai  ḳhud-sar  jo  kisī  qābil  nahīñ  hotā
lahū  kī  tere  har  har  buuñd  fariyādī  hai  go  bismil
magar  qātil  ke  muñh  par  shikva-e-qātil  nahīñ  hotā
dil-e-nākām  phir  le  kaam  zauq-e-sa.ī-e-paiham  se
kaf-e-afsos  malne  se  to  kuchh  hāsil  nahīñ  hotā
yaqīnan  maqsad-e-taḳhlīq  ko  samjhā  huā  hai  vo
farā.ez  se  kabhī  jo  aadmī  ġhāfil  nahīñ  hotā
vo  insāñ  hai  malak  sajde  guzāreñ  jis  ke  dāman  par
vo  zarra  kyā  jo  ham-dosh-e-mah-e-kāmil  nahīñ  hotā
jo  ro.e  dekh  kar  har  har  qadam  par  paañv  ke  chhāle
kabhī  vo  rāh-rau  āsūda-e-manzil  nahīñ  hotā
mire  soz-e-darūñ  merī  navā  kā  faiz  hai  'rizvī'
tirā  honā  to  vaj.h-e-garmī-e-mahfil  nahīñ  hotā