jigar  ke  ḳhuun  se  raushan  go  ye  charāġh  rahā
misāl-e-māh  chamaktā  to  dil  kā  daaġh  rahā
badal  gayā  hai  zamāna  chalī  vo  bād-e-sumūm
na  gul  rahe  na  vo  bulbul  rahī  na  baaġh  rahā
huzūr-e-husn  se  ḳhushiyāñ  na  mil  sakīñ  na  sahī
matā-e-ġham  se  to  sad  shukr  bā-farāġh  rahā
vo  Daal  dī  ġhalat  andāz  ik  nazar  tū  ne
ki  maiñ  zamīñ  pe  rahā  arsh  par  dimāġh  rahā
na  hogī  bazm-e-jahāñ  meñ  rasā.ī-e-zulmat
yahāñ  charāġh  se  jaltā  agar  charāġh  rahā
kise  thā  hosh  kisī  kī  talāsh  kā  'rizvī'
tamām  umr  hī  maiñ  darpai-e-surāġh  rahā