jidhar  vo  haiñ  udhar  ham  bhī  agar  jaa.eñ  to  kyā  hogā
irāde  hashr  meñ  ye  kaam  kar  jaa.eñ  to  kyā  hogā
kisī  ne  aaj  tak  us  kā  pata  paayā  jo  ham  paate
makān-o-lā-makāñ  se  bhī  guzar  jaa.eñ  to  kyā  hogā
ye  kaliyoñ  kā  tabassum  aur  ye  phūloñ  kī  ra.anā.ī
bahāroñ  meñ  agar  vo  bhī  sañvar  jaa.eñ  to  kyā  hogā
yaqīñ  va.ade  kā  un  ke  ḳhud-farebī  hī  sahī  lekin
ye  do  din  bhī  umīdoñ  meñ  guzar  jaa.eñ  to  kyā  hogā
ġhanīmat  hai  vo  sub.h-e-hashr  se  pahle  chale  aa.e
shab-e-āḳhir  bhī  naale  be-asar  jaa.eñ  to  kyā  hogā
jidhar  shaiḳh-o-barahman  phir  rahe  the  DhūñDte  'rizvī'
usī  jānib  tire  shorīda-sar  jaa.eñ  to  kyā  hogā