makāñ  se  duur  kahīñ  lā-makāñ  meñ  rahtī  huuñ
zamīñ  pe  hote  hue  āsmāñ  meñ  rahtī  huuñ
hai  jis  ke  haath  meñ  ye  bāg-Dor  aalam  kī
bahut  sukūn  se  us  kī  amaañ  meñ  rahtī  huuñ
ḳhabar  jo  lene  chale  ho  ye  hālat-e-dil  hai
mujhe  ḳhabar  hī  kahāñ  kis  jahāñ  meñ  rahtī  huuñ
varaq  varaq  pe  haiñ  phaile  hurūf-e-nā-bīnā
mohabbatoñ  kī  har  ik  dāstāñ  meñ  rahtī  huuñ
husūl-e-ishq  kī  sab  kāvisheñ  haiñ  lā-hāsil
maiñ  dastaras  se  pare  ik  jahāñ  meñ  rahtī  huuñ
har  ik  talab  se  huī  be-niyāz-o-begāna
basā  ke  dil  meñ  use  āstāñ  meñ  rahtī  huuñ
safīr  ban  ke  havāoñ  kī  duur  tak  jā.ūñ
maiñ  musht-e-ḳhāk  huuñ  mauj-e-ravāñ  meñ  rahtī  huuñ