barbādiyoñ  kā  apnī  gila  kyā  kareñge  ham
aa.egī  un  kī  yaad  to  royā  kareñge  ham
ham  zindagī  se  apnī  bichhaḌ  kar  bhī  jī  rahe
kyā  ḳhaak  ab  qazā  kī  tamannā  kareñge  ham
sab  kuchh  unheñ  diyā  jo  hameñ  kuchh  na  de  sake
ai  hāsil-e-ḳhulūs  batā  kyā  kareñge  ham
thī  jin  se  kuchh  umīd-e-vafā  vo  badal  ga.e
hargiz  na  ab  kisī  kī  tamannā  kareñge  ham
yaad  aa  rahī  hai  aaj  bahut  un  kī  nāsehā
ab  ibtidā-e-sāġhar-o-mīnā  kareñge  ham