sham.a  raushan  koī  kar  de  mire  ġham-ḳhāne  meñ
jaane  kab  se  yahāñ  baiThā  huuñ  sanam-ḳhāne  meñ
lazzat-e-sozish-e-ġham  jān-e-vafā  aah  na  pūchh
kitnī  taskīn  milī  aap  ko  taḌpāne  meñ
ḳhirman-e-dil  pe  girī  hai  to  koī  baat  nahīñ
Dar  hai  kaundī  na  ho  bijlī  tire  kāshāne  meñ
dil  meñ  ab  koī  bhī  hasrat  nahīñ  armān  nahīñ
kuchh  nahīñ  kuchh  bhī  nahīñ  ab  mire  ġham-ḳhāne  meñ
maiñ  hī  ārā.ish-e-afsāna  banā  aah  magar
ab  mirā  naam  nahīñ  aap  ke  afsāne  meñ
yuuñ  bhī  aksar  tirī  āvāz  sunī  hai  maiñ  ne
siskiyāñ  letā  ho  jaise  koī  vīrāne  meñ
aap  laa.eñ  to  ye  dāman  mirī  āñkhoñ  ke  qarīb
maiñ  bhī  kuchh  pesh  karūñ  aap  ko  nazrāne  meñ
kitnī  ma.asūm  sī  pyārī  sī  ḳhatā  kar  baiThe
bhuul  'rizvī'  se  huī  hai  koī  anjāne  meñ