ārzūoñ  ne  uchhal-kūd  machā.ī  huī  hai
jab  se  tujh  tak  mirī  chāhat  kī  rasā.ī  huī  hai
mujh  se  isrār  hai  dil  kā  ki  banūñ  sahrā.ī
ḳhaak  nādān  ne  siine  meñ  uḌaa.ī  huī  hai
duur  se  tāpne  vaale  bhī  jhulas  sakte  haiñ
terī  ra.anā.ī  ne  vo  aag  lagā.ī  huī  hai
rah  ke  siine  meñ  mire  terā  taraf-dār  hai  dil
saarī  paTTī  tirī  āñkhoñ  kī  paḌhā.ī  huī  hai
ḳhush-numā  manzaro  itrāo  na  itnā  ḳhud  par
yaar  ne  zulf-e-hasīñ  ruḳh  pe  girā.ī  huī  hai
ahl-e-taḳh.īl  tasavvur  meñ  jise  chhū  na  sakeñ
maiñ  ne  vo  shakl  nigāhoñ  meñ  basā.ī  huī  hai