zā.iqe  paidā  tabī.at  meñ  lachak  karte  haiñ
aa  tujhe  vāqif-e-qand  aur  namak  karte  haiñ
aao  chalte  haiñ  jahāñ  sāzish-e-ahbāb  na  ho
dushmanī  kā  ye  safar  dostī  tak  karte  haiñ
vo  jo  insān  ke  hī  bas  meñ  hai  us  par  insāñ
jaane  kis  muñh  se  shikāyāt-e-falak  karte  haiñ
khulne  hī  vaalā  hai  bas  andhī  aqīdat  kā  bharam
ham  se  kuchh  log  bahut  chhān-phaTak  karte  haiñ
shirk  to  ḳhvāb  meñ  bhī  ham  se  nahīñ  ho  saktā
ham  to  yā-rab  tirī  qudrat  pe  bhī  shak  karte  haiñ