aapsī  bātoñ  ko  aḳhbār  nahīñ  hone  diyā
ham  ne  ye  kamra  havā-dār  nahīñ  hone  diyā
bad-gumānī  ko  kiyā  chaa.e  pilā  kar  ruḳhsat
nāshte  kā  bhī  talabgār  nahīñ  hone  diyā
dil  ke  zaḳhmoñ  kī  ḳhabar  hone  na  dī  ashkoñ  ko
ġham  kā  āñkhoñ  se  sarokār  nahīñ  hone  diyā
saḳht  lafzoñ  meñ  bhī  detī  hai  mazā  baat  us  kī
us  ne  lahje  ko  dil-āzār  nahīñ  hone  diyā
rakh  diye  hoñToñ  pe  uñglī  kī  tarah  hoñT  us  ne
ek  shikva  bhī  numūdār  nahīñ  hone  diyā
us  ne  nādān  ho,  kah  kar  hameñ  uksāyā  thā
umr  bhar  us  ko  samajhdār  nahīñ  hone  diyā
chāhateñ  pā.īñ  haiñ  'mannān'  vafāoñ  ke  tufail
jazba-e-ishq  ko  ayyār  nahīñ  hone  diyā