qadam  sau  man  ke  lagte  haiñ  kamar  hī  TuuT  jaatī  hai
koī  ummīd  jab  bar  aatī  aatī  TuuT  jaatī  hai
darīche  band  zehnoñ  ke  nahīñ  khulte  haiñ  tāqat  se
lagā  ho  zañg  taale  meñ  to  chābī  TuuT  jaatī  hai
tirī  ulfat  meñ  aisā  haal  hai  jaise  koī  machhlī
nigal  letī  hai  kāñTā  aur  laggī  TuuT  jaatī  hai
jidhar  ke  ho  udhar  ke  ho  raho  dil  se  to  behtar  hai
ki  loTā  be-talī  kā  ho  to  ToñTī  TuuT  jaatī  hai
akaḌ  kar  bolne  vaale  na  ho  gar  taan  aaTe  meñ
tave  se  qabl  hī  hāthoñ  meñ  roTī  TuuT  jaatī  hai
chavannī  ke  na  tuḌvāne  pe  ham  se  rūThne  vaale
kahāñ  hai  tū  ki  aa  ab  sau  kī  gaDDī  TuuT  jaatī  hai