phuul  ḳhushbū  un  pe  uḌtī  titliyoñ  kī  ḳhair  ho
sab  ke  āñgan  meñ  chahaktī  beTiyoñ  kī  ḳhair  ho
jitne  mīThe  lahje  haiñ  sab  giit  hoñge  ek  din
mīThe  lahjoñ  se  mahaktī  boliyoñ  kī  ḳhair  ho
chunriyoñ  meñ  ḳhvāb  le  kar  chal  paḌī  haiñ  beTiyāñ
in  parā.e  des  jaatī  Doliyoñ  kī  ḳhair  ho
bārishoñ  ke  shor  meñ  kyuuñ  jāgte  haiñ  dard  bhī
sehn-e-jāñ  meñ  raqs  kartī  badliyoñ  kī  ḳhair  ho
raḳht-e-dil  ko  thaam  kar  vo  aa  ga.ī  haiñ  ret  par
ḳhvāhishoñ  kī  ḳhair  ho  un  pagliyoñ  kī  ḳhair  ho
ab  kabūtar  fāḳhtā.eñ  jā  chukī  haiñ  gaañv  se
ai  ḳhudāvand  peḌ  kī  aur  bastiyoñ  kī  ḳhair  ho
raat  hai  'bābar'  khaḌī  sailāb  kā  bhī  zor  hai
sāhiloñ  kī  māñjhiyoñ  kī  kashtiyoñ  kī  ḳhair  ho