na  faisla  tumhārā  hai  na  faisla  hamārā  hai
ye  vaqt  ke  qazzāq  ne  chhupā  ke  tiir  maarā  hai
faqīh-e-shahr  zindagī  kī  aañkh  kā  jo  nuur  thā
vo  maiñ  ne  tere  āstāñ  pe  ḳhvāb  lā  ke  vaarā  hai
sitār-gāñ  kī  bazm  meñ  udaas  chāñd  dekhnā
na-jāne  kaisā  ḳhvāb  hai  na-jāne  kyā  ishāra  hai
hameñ  ye  ḳhvāb  titliyāñ  talāshnā  haiñ  umr-bhar
ki  haath  ḳhālī  nikle  haiñ  charāġh  hai  na  taara  hai
pas-e-ġhubār  vaqt  yuuñ  pukārtā  hai  kaun  ye
ki  hijr-o-ġham  kā  silsila  batāo  kyuuñ  gavārā  hai
'sajjād'  bhī  malūl  hai  ki  qāfila  hai  shaam  kā
falak  pe  ek  chāñd  hai  jo  āḳhirī  sahārā  hai