āsmāñ  kā  sitāra  na  mahtāb  hai
qalb-gah  meñ  jo  ik  jins-e-nāyāb  hai
ā.īna  ā.īna  tairtā  koī  aks
aur  har  ḳhvāb  meñ  dūsrā  ḳhvāb  hai
aur  hai  sham.a  ke  batan  meñ  raushnī
tere  ā.īne  meñ  aur  hī  aab  hai
ye  charāġh  aur  hai  vo  sitāra  hai  aur
aur  aage  jo  ik  hijr  kā  baab  hai
aur  phailī  huī  hai  jo  ik  dhund  sī
aur  aqab  meñ  jo  ik  zīna-e-ḳhvāb  hai
bas  vo  lamha  jo  tujh  se  ibārat  huā
baaqī  jo  chiiz  hai  vo  fanā-yāb  hai
ḳhvāb  ne  to  raqam  kar  diyā  thā  tujhe
hāsil-e-shab  yahī  chashm-e-pur-āb  hai