mire  supurd  kahāñ  vo  ḳhazāna  kartā  thā
sulūk  kartā  thā  aur  ġhā.ebāna  kartā  thā
ajiib  us  kī  talab  thī  ajab  thā  asp-e-savār
ki  mulk-o-māl  kī  parvā  zarā  na  kartā  thā
shi.ār-e-zīst  hunar  thā  so  ham  na  jaan  sake
jo  kaam  ham  nai  kiyā  dūsrā  na  kartā  thā
safar-girafta  rahe  kushtagān-e-nān-o-namak
hamāre  haq  meñ  koī  faisla  na  kartā  thā
fazā  meñ  haath  to  uTThe  the  ek  saath  ka.ī
kisī  ke  vāste  koī  duā  na  kartā  thā
tamām  sūrat-e-tartīb  is  ko  aatī  hai
agarche  ḳhair  ko  shar  se  judā  na  kartā  thā
vo  qalb-gāh-e-tamannā  meñ  ik  charāġh  kī  lau
ko  tez  rakhtā  thā  nazr-e-havā  na  kartā  thā
uThā  rakhā  thā  usī  par  se  e'tibār  tamām
aur  intizār  bhī  us  kā  zamāna  kartā  thā
unhīñ  gharoñ  se  ibārat  hai  apnī  shām-e-jahāñ
charāġh-e-tāq  bhī  aksar  jalā  na  kartā  thā