charāġh  hāthoñ  ke  bujh  rahe  haiñ  sitāra  har  rah-guzar  meñ  rakh  de
utaar  de  chāñd  us  ke  dar  par  siyāh  din  mere  ghar  meñ  rakh  de
kahīñ  kahīñ  koī  rabt-e-maḳhfī  ibārat-e-muntashar  meñ  rakh  de
gurez  par  haiñ  nishān  saare  taraf  bhī  koī  safar  meñ  rakh  de
talab  talab  ā.ina-sifat  hai  ḳharāb-o-ḳhasta  haiñ  aks  saare
ye  nekiyāñ  bhī  haiñ  sar-barahna  latāfat-e-ḳhair  shar  meñ  rakh  de
nashāt-āvar  hai  ye  udāsī  kā  ek  uḌtā  huā  sā  lamha
mabādā  tāq-e-rajā  ho  vīrāñ  sharāra  ik  chashm-e-tar  meñ  rakh  de
ye  sarf-o-hāsil-gazīda  duniyā  na  din  hī  mere  na  merī  rāteñ
kahāñ  talak  dekhtā  hī  jā.ūñ  samā.ateñ  kuchh  nazar  meñ  rakh  de
mire  ḳhudā  mere  jism-o-jāñ  ke  ḳhudā  mire  haath  jhaḌ  na  jaa.eñ
duā  tah-e-sañg-e-lab  gaḌī  hai  asar  zarā  sā  asar  meñ  rakh  de
badan  hai  yā  qila-e-havā  hai  kahīñ  se  aa.uuñ  kahīñ  se  jā.ūñ
hazāroñ  raḳhne  paḌe  hue  haiñ  uThā  ke  dīvār  dar  meñ  rakh  de