farār  ke  liye  jab  rāsta  nahīñ  hogā
to  bāb-e-ḳhvāb  bhī  kyā  koī  vā  nahīñ  hogā
ik  aise  shahr  meñ  kuchh  din  Thahar  ke  dekhā  jaa.e
jahāñ  kisī  ko  koī  jāntā  nahīñ  hogā
vo  baat  thī  to  ka.ī  dūsre  sabab  bhī  the
ye  baat  hai  to  sabab  dūsrā  nahīñ  hogā
yuuñ  is  nigāh  ko  apnī  kushāda  rakhte  haiñ
ki  is  ke  baad  kabhī  dekhnā  nahīñ  hogā
jo  tañg  hote  ga.e  qalb-hā-e-sīna-maqām
koī  maqām  maqām-e-duā  nahīñ  hogā
koī  zamīn  to  hogī  tirī  zamīnoñ  par
hamāre  jaisā  koī  naqsh-e-pā  nahīñ  hogā