jab  bhī  tanhā.ī  ke  ehsās  se  ghabrātā  huuñ
maiñ  har  ik  chiiz  meñ  tahlīl  sā  ho  jaatā  huuñ
maiñ  kisī  jism  pe  pheñkā  huā  patthar  to  na  thā
bār-hā  apnā  lahū  dekh  ke  sharmātā  huuñ
raat  jo  kuchh  mujhe  detī  hai  sahar  se  pahle
vaqt  ke  gahre  samundar  meñ  utaar  aatā  huuñ
din  ke  hañgāme  jilā  dete  haiñ  mujh  ko  varna
sub.h  se  pahle  ka.ī  martaba  mar  jaatā  huuñ
ek  nashshe  kī  tarah  TuuT  gayā  huuñ  ḳhud  se
apne  nazdīk  bhī  mushkil  se  nazar  aatā  huuñ