Abbas Dana

koi subut-e-jurm jagah par nahin mila

Abbas Dana

koī subūt-e-jurm jagah par nahīñ milā
TuuTe paḌe the aa.ine patthar nahīñ milā
patthar ke jaisī be-hisī us kā nasīb hai
vo qaum jis ko koī payambar nahīñ milā
jab tak vo jhuuT kahtā rahā sar pe taaj thā
sach kah diyā to taaj hī kyā sar nahīñ milā
ham rāt-bhar jaleñ bhī tumheñ raushnī bhī deñ
ham ko charāġh jaisā muqaddar nahīñ milā
shahr-e-sitam bhī jashn-e-amāñ mat manā abhī
shāyad sitamgaroñ ko tirā ghar nahīñ milā
maañ baap kī duāoñ se baḌh kar jahez meñ
dulhan ko aur koī bhī zevar nahīñ milā
'dānā' vo ab bhī aatā hai tanhā.iyoñ meñ yaad
duniyā kī bhiiḌ meñ jo bichhaḌ kar nahīñ milā
Top Urdushayar.com