Makhdoom Mohiuddin

baDh gaya baada-e-gul-gun ka maza aaKHir-e-shab

Makhdoom Mohiuddin

Medak, Telangana, India

1908-1969
baḌh gayā bāda-e-gul-gūñ kā mazā āḳhir-e-shab
aur bhī surḳh hai ruḳhsār-e-hayā āḳhir-e-shab
manzileñ ishq kī āsāñ huiiñ chalte chalte
aur chamkā tirā naqsh-e-kaf-e-pā āḳhir-e-shab
khaTkhaTā jaatā hai zanjīr-e-dar-e-mai-ḳhāna
koī dīvāna koī ābla-pā āḳhir-e-shab
saañs ruktī hai chhalakte hue paimāne meñ
koī letā thā tirā nām-e-vafā āḳhir-e-shab
gul hai qindīl-e-haram gul haiñ kalīsā ke charāġh
sū-e-paimāna baḌhe dast-e-duā āḳhir-e-shab
haa.e kis dhuum se niklā hai shahīdoñ kā julūs
jurm chup sar-ba-garebāñ hai jafā āḳhir-e-shab
isī andāz se phir sub.h kā āñchal Dhalke
isī andāz se chal bād-e-sabā āḳhir-e-shab
Top Urdushayar.com