baḌh  gayā  bāda-e-gul-gūñ  kā  mazā  āḳhir-e-shab
aur  bhī  surḳh  hai  ruḳhsār-e-hayā  āḳhir-e-shab
manzileñ  ishq  kī  āsāñ  huiiñ  chalte  chalte
aur  chamkā  tirā  naqsh-e-kaf-e-pā  āḳhir-e-shab
khaTkhaTā  jaatā  hai  zanjīr-e-dar-e-mai-ḳhāna
koī  dīvāna  koī  ābla-pā  āḳhir-e-shab
saañs  ruktī  hai  chhalakte  hue  paimāne  meñ
koī  letā  thā  tirā  nām-e-vafā  āḳhir-e-shab
gul  hai  qindīl-e-haram  gul  haiñ  kalīsā  ke  charāġh
sū-e-paimāna  baḌhe  dast-e-duā  āḳhir-e-shab
haa.e  kis  dhuum  se  niklā  hai  shahīdoñ  kā  julūs
jurm  chup  sar-ba-garebāñ  hai  jafā  āḳhir-e-shab
isī  andāz  se  phir  sub.h  kā  āñchal  Dhalke
isī  andāz  se  chal  bād-e-sabā  āḳhir-e-shab