saaz  āhista  zarā  gardish-e-jām  āhista
jaane  kyā  aa.e  nigāhoñ  kā  payām  āhista
chāñd  utrā  ki  utar  aa.e  sitāre  dil  meñ
ḳhvāb  meñ  hoñToñ  pe  aayā  tirā  naam  āhista
kū-e-jānāñ  meñ  qadam  paḌte  haiñ  halke  halke
āshiyāne  kī  taraf  tā.ir-e-bām  āhista
un  ke  pahlū  ke  mahakte  hue  shādāñ  jhoñke
yuuñ  chale  jaise  sharābī  kā  ḳhirām  āhista
aur  bhī  baiThe  haiñ  ai  dil  zarā  āhista  dhaḌak
bazm  hai  pahlū-ba-pahlū  hai  kalām  āhista
ye  tamannā  hai  ki  uḌtī  huī  manzil  kā  ġhubār
sub.h  ke  parde  meñ  yaad  aa  ga.ī  shaam  āhista