sahar  se  raat  kī  sargoshiyāñ  bahār  kī  baat
jahāñ  meñ  aam  huī  chashm-e-intizār  kī  baat
diloñ  kī  tishnagī  jitnī  diloñ  kā  ġham  jitnā
usī  qadar  hai  zamāne  meñ  husn-e-yār  kī  baat
jahāñ  bhī  baiThe  haiñ  jis  jā  bhī  raat  mai  pī  hai
unhī  kī  āñkhoñ  ke  qisse  unhī  ke  pyaar  kī  baat
chaman  kī  aañkh  bhar  aa.ī  kalī  kā  dil  dhaḌkā
laboñ  pe  aa.ī  hai  jab  bhī  kisī  qarār  kī  baat
ye  zard  zard  ujāle  ye  raat  raat  kā  dard
yahī  to  rah  ga.ī  ab  jān-e-be-qarār  kī  baat
tamām  umr  chalī  hai  tamām  umr  chale
ilāhī  ḳhatm  na  ho  yār-e-ġham-gusār  kī  baat