phir  chhiḌī  raat  baat  phūloñ  kī
raat  hai  yā  barāt  phūloñ  kī
phuul  ke  haar  phuul  ke  gajre
shaam  phūloñ  kī  raat  phūloñ  kī
aap  kā  saath  saath  phūloñ  kā
aap  kī  baat  baat  phūloñ  kī
nazreñ  miltī  haiñ  jaam  milte  haiñ
mil  rahī  hai  hayāt  phūloñ  kī
kaun  detā  hai  jaan  phūloñ  par
kaun  kartā  hai  baat  phūloñ  kī
vo  sharāfat  to  dil  ke  saath  ga.ī
luT  ga.ī  kā.enāt  phūloñ  kī
ab  kise  hai  dimāġh-e-tohmat-e-ishq
kaun  suntā  hai  baat  phūloñ  kī
mere  dil  meñ  surūr-e-sub.h-e-bahār
terī  āñkhoñ  meñ  raat  phūloñ  kī
phuul  khilte  raheñge  duniyā  meñ
roz  niklegī  baat  phūloñ  kī
ye  mahaktī  huī  ġhazal  'maḳhdūm'
jaise  sahrā  meñ  raat  phūloñ  kī