darāz  hai  shab-e-ġham  soz-o-sāz  saath  rahe
musāfiro  mai-e-mīnā-gudāz  saath  rahe
qadam  qadam  pe  añdheroñ  kā  sāmnā  hai  yahāñ
safar  kaThin  hai  dam-e-sho.ala-sāz  saath  rahe
ye  koh  kyā  hai  ye  dasht-e-alam-fazā  kyā  hai
jo  ik  tirī  nigah-e-dil-navāz  saath  rahe
koī  rahe  na  rahe  ek  aah  ik  aañsū
ba-sad  ḳhulūs  ba-sad  imtiyāz  saath  rahe
ye  mai-kada  hai  nahīñ  sair-e-dair  sair-e-haram
nazar-afīf  dil-e-pāk-bāz  saath  rahe