tum  gulistāñ  se  ga.e  ho  to  gulistāñ  chup  hai
shāḳh-e-gul  khoī  huī  murġh-e-ḳhush-ilhāñ  chup  hai
ufuq-e-dil  pe  dikhā.ī  nahīñ  detī  hai  dhanak
ġham-zada  mausam-e-gul  abr-e-bahārāñ  chup  hai
ālam-e-tishnagī-e-bāda-gusārāñ  mat  pūchh
mai-kada  duur  hai  mīnā-e-zar-e-afshāñ  chup  hai
aur  aage  na  baḌhā  qissa-e-dil  qissa-e-ġham
dhaḌkaneñ  chup  haiñ  sarishk-e-sar-e-mizhgāñ  chup  hai
shahr  meñ  ek  qayāmat  thī  qayāmat  na  rahī
hashr  ḳhāmosh  huā  fitna-e-daurāñ  chup  hai
na  kisī  aah  kī  āvāz  na  zanjīr  kā  shor
aaj  kyā  ho  gayā  zindāñ  meñ  ki  zindāñ  chup  hai