ek  thā  shaḳhs  zamāna  thā  ki  dīvāna  banā
ek  afsāna  thā  afsāne  se  afsāna  banā
ik  parī-chehra  ki  jis  chehre  se  ā.īna  banā
dil  ki  ā.īna-dar-ā.īna  parī-ḳhāna  banā
ḳhema-e-shab  meñ  nikal  aatā  hai  gaahe  gaahe
ek  aahū  kabhī  apnā  kabhī  begāna  banā
hai  charāġhāñ  hī  charāġhāñ  sar-e-āriz  sar-e-jām
rañg-e-sad-jalva-e-jānāna  sanam-ḳhāna  banā
ek  jhoñkā  tire  pahlū  kā  mahaktī  huī  yaad
ek  lamha  tirī  dildārī  kā  kyā  kyā  na  banā