Makhdoom Mohiuddin

tere diwane teri chashm o nazar se pahle

Makhdoom Mohiuddin

Medak, Telangana, India

1908-1969
tere dīvāne tirī chashm o nazar se pahle
daar se guzre tirī rāhguzar se pahle
bazm se duur vo gaatā rahā tanhā tanhā
so gayā saaz pe sar rakh ke sahar se pahle
is añdhere meñ ujāloñ kā gumāñ tak bhī na thā
sho.ala-rū sho.ala-navā shola-nazar se pahle
kaun jaane ki ho kyā rañg-e-sahar rañg-e-chaman
mai-kada raqs meñ hai pichhle pahar se pahle
nik.hat-e-yār se ābād hai har kunj-e-qafas
mil ke aa.ī hai sabā us gul-e-tar se pahle
Top Urdushayar.com