usī  chaman  meñ  chaleñ  jashn-e-yād-e-yār  kareñ
diloñ  ko  chaak  garebāñ  ko  tār-tār  kareñ
shamīm-e-pairahan-e-yār  kyā  nisār  kareñ
tujhī  ko  dil  se  lagā  leñ  tujhī  ko  pyaar  kareñ
sunātī  phirtī  haiñ  āñkheñ  kahāniyāñ  kyā  kyā
ab  aur  kyā  kaheñ  kis  kis  ko  sogvār  kareñ
uTho  ki  fursat-e-dīvāngī  ġhanīmat  hai
qafas  ko  le  ke  uḌeñ  gul  ko  ham-kanār  kareñ
kamān-e-abru-e-ḳhūbāñ  kā  bāñkpan  hai  ġhazal
tamām  raat  ġhazal  gaa.eñ  dīd-e-yār  kareñ