Makhdoom Mohiuddin

ab kahan ja ke ye samjhaen ki kya hota hai

Makhdoom Mohiuddin

Medak, Telangana, India

1908-1969
ab kahāñ jā ke ye samjhā.eñ ki kyā hotā hai
ek aañsū jo sar-e-chashm-e-vafā hotā hai
is guzargāh meñ is dasht meñ ai jazba-e-ishq
juz tire kaun yahāñ ābla-pā hotā hai
dil kī mehrāb meñ ik sham.a jalī thī sar-e-shām
sub.h-dam mātam-e-arbāb-e-vafā hotā hai
diip jalte haiñ diloñ meñ ki chitā jaltī hai
ab kī dīvālī meñ dekheñge ki kyā hotā hai
jab barastī hai tirī yaad kī rañgīn phuvār
phuul khilte haiñ dar-e-mai-kada vā hotā hai
Top Urdushayar.com