sīmāb-vashī  tishna-labī  bā-ḳhabarī  hai
is  dasht  meñ  gar  raḳht-e-safar  hai  to  yahī  hai
is  shahr  meñ  ik  āhū-e-ḳhush-chashm  se  ham  ko
kam  kam  hī  sahī  nisbat-e-paimāna  rahī  hai
be-sohbat-e-ruḳhsār  añdherā  hī  añdherā
go  jaam  vahī  mai  vahī  mai-ḳhāna  vahī  hai
is  ahd  meñ  bhī  daulat-e-kaunain  ke  bā-vasf
har  gaam  pe  un  kī  jo  kamī  thī  so  kamī  hai
har  dam  tire  anfās  kī  garmī  kā  gumāñ  hai
har  yaad  tirī  yaad  ke  phūloñ  meñ  basī  hai
har  shaam  sajā.e  haiñ  tamannā  ke  nasheman
har  sub.h  mai-e-talḳhī-e-ayyām  bhī  pī  hai
dhaḌkā  hai  dil-e-zār  tire  zikr  se  pahle
jab  bhī  kisī  mahfil  meñ  tirī  baat  chalī  hai
vo  itr  tirī  kākul-e-shab-rañg  ne  chhiḌkā
mahkī  hai  ḳhirad  ruuh  kalī  ban  ke  khilī  hai