zindagī  motiyoñ  kī  Dhalaktī  laḌī  zindagī  rañg-e-gul  kā  bayāñ  dosto
gaah  rotī  huī  gaah  hañstī  huī  merī  āñkheñ  haiñ  afsāna-ḳhvāñ  dosto
hai  usī  ke  jamāl-e-nazar  kā  asar  zindagī  zindagī  hai  safar  hai  safar
sāya-e-shāḳh-e-gul  shāḳh-e-gul  ban  gayā  ban  gayā  abr  abr-e-ravāñ  dosto
ik  mahaktī  bahaktī  huī  raat  hai  laḌkhaḌātī  nigāhoñ  kī  sauġhāt  hai
pañkhuḌī  kī  zabāñ  phuul  kī  dāstāñ  us  ke  hoñToñ  kī  parchhā.iyāñ  dosto
kaise  tai  hogī  ye  manzil-e-shām-e-ġham  kis  tarah  se  ho  dil  kī  kahānī  raqam
ik  hathelī  meñ  dil  ik  hathelī  meñ  jaañ  ab  kahāñ  kā  ye  sūd-o-ziyāñ  dosto
dosto  ek  do  jaam  kī  baat  hai  dosto  ek  do  gaam  kī  baat  hai
haañ  usī  ke  dar-o-bām  kī  baat  hai  baḌh  na  jaa.eñ  kahīñ  dūriyāñ  dosto
sun  rahā  huuñ  havādis  kī  āvāz  ko  pā  rahā  huuñ  zamāne  ke  har  raaz  ko
dosto  uTh  rahā  hai  diloñ  se  dhuāñ  aañkh  lene  lagī  hichkiyāñ  dosto