raushan  hai  bazm-e-sho.ala-ruḳhāñ  dekhte  chaleñ
is  meñ  vo  ek  nūr-e-jahāñ  dekhte  chaleñ
vā  ho  rahī  hai  mai-kada-e-nīm-shab  kī  aañkh
añgḌā.ī  le  rahā  hai  jahāñ  dekhte  chaleñ
sargoshiyoñ  kī  raat  hai  ruḳhsār  o  lab  kī  raat
ab  ho  rahī  hai  raat  javāñ  dekhte  chaleñ
dil  meñ  utar  ke  sair-e-dil-e-rah-ravāñ  kareñ
aahoñ  meñ  Dhal  ke  zabt-e-fuġhāñ  dekhte  chaleñ
kaise  haiñ  ḳhānqāh  meñ  arbāb-e-ḳhānqāh
kis  haal  meñ  hai  pīr-e-muġhāñ  dekhte  chaleñ
maazī  kī  yādgār  sahī  yād-e-dil  to  hai
tarz-e-nashāt-e-nauha-garāñ  dekhte  chaleñ
sab  vasvase  haiñ  gard-e-rah-e-kārvāñ  ke  saath
aage  hai  mish.aloñ  kā  dhuāñ  dekhte  chaleñ
āñchal  se  uḌ  rahe  haiñ  fazāoñ  meñ  duur  duur
shāyad  vahī  ho  jān-e-butāñ  dekhte  chaleñ
aa  hī  ga.e  haiñ  raqs-gah-e-gul-ruḳhāñ  meñ  ham
kuchh  rañg-o-bū  kā  sail-e-ravāñ  dekhte  chaleñ