gulū-e-yazdāñ  meñ  nok-e-sināñ  bhī  TuuTī  hai
kashākash-e-dil-e-paiġham-barāñ  bhī  TuuTī  hai
sarāb  hai  ki  haqīqat  nazāra  ki  fareb
yaqīñ  bhī  TuuTā  hai  tarz-e-gumāñ  bhī  TuuTī  hai
siyāsat-e-dil-ā.īna  chuur  chuur  to  thī
siyāsat-e-dil-e-āhan-garāñ  bhī  TuuTī  hai
añdherī  raat  kā  ye  nīm-bāz  sannāTā
guloñ  kī  saañs  rag-e-gulsitāñ  bhī  TuuTī  hai
tumhāre  jism  kā  sūraj  jahāñ  jahāñ  TuuTā
vahīñ  vahīñ  mirī  zanjīr-e-jāñ  bhī  TuuTī  hai
kahāñ  haiñ  ālam-e-imkāñ  vajūd  meñ  aa.eñ
nazar  nazar  hī  rahī  hai  jahāñ  bhī  TuuTī  hai
shikast-o-reḳht  zamāne  kī  ḳhuub  hai  'maḳhdūm'
ḳhudī  to  TuuTī  thī  ḳhū-e-butāñ  bhī  TuuTī  hai