Niyaz Husain Lakhwera

achchhe lafzon se nawaze ya wo ruswai kare

Niyaz Husain Lakhwera

1952

achchhe lafzoñ se navāze vo rusvā.ī kare

us ko haq hai ki burā.ī kare achchhā.ī kare

pyaar to soch dīvār hilā detā hai

kaun is zehn ke dushman se shanāsā.ī kare

haath se haath jhaTak de ki use thāme rakhe

us ko āzādī hai jab chāhe vo aa.ī kare

kyā ḳhabar ḳhud ko ab bechnā paḌ jaa.e yahāñ

kis ko ma.alūm sitam kaise ye mahñgā.ī kare

karb zanjīr mānind jakaḌ letā hai

bhaa.ī ko sahnā paḌtā hai agar bhaa.ī kare

maiñ ne zehnoñ se qadāmat ko khurach Daalā he

shahr shahr mire dar pe jabīñ-sā.ī kare

pyaar rūhoñ meñ kashish ban dhaḌaktā hai 'niyāz'

ye vo jazba hai jo pal-bhar meñ shanāsā.ī kare

Top Urdushayar.com