mat  samajhnā  ki  sirf  tū  hai  yahāñ
ek  se  ek  ḳhūb-rū  hai  yahāñ
pur  hai  bāzār-e-husn  chehroñ  se
jaane  kis  kis  kī  aabrū  hai  yahāñ
kaise  ābād  ho  ye  vīrāna
vahshat-e-kizb  chār-sū  hai  yahāñ
aañkh  kī  putliyoñ  ko  ġhaur  se  dekh
terī  tasvīr  hū-ba-hū  hai  yahāñ
kaise  tārīḳh  likkhī  jā.egī
sirf  talvār  aur  gulū  hai  yahāñ
tū  kahāñ  hai  ḳhabar  nahīñ  ai  dost
raat  din  terī  guftugū  hai  yahāñ
jhāñktā  kaun  hai  girebāñ  meñ
ā.īna  kis  ke  rū-ba-rū  hai  yahāñ
maqtal-e-ārzū  hai  dil  'vājid'
har  tamannā  lahū  lahū  hai  yahāñ