Anjum Abbasi

roz aKHbar mein chhap jaane se milta kya hai

Anjum Abbasi

Ratnagiri, Maharashtra, India

1942
roz aḳhbār meñ chhap jaane se miltā kyā hai
apnī tash.hīr ke afsāne meñ rakkhā kyā hai
tum ne jis ko ġham-e-ayyām kahā hai yaaro
vo mire dard kā hissa hai tumhārā kyā hai
jhun-jhune de ke mire haath meñ koī mujh ko
qaid-e-hastī kī sazā de ye tamāshā kyā hai
kal talak jo mirī tārīf kiyā kartā thā
aaj vo bhī mirā dushman hai ye qissa kyā hai
ham agar Duub bhī jaa.eñ to ubhar sakte haiñ
ham ko mālūm hai jiine kā salīqa kyā hai
ham ne sauġhāt samajh kar to use apnāyā
ab ye kyuuñ socheñ ki is ġham kā mudāvā kyā hai
yuuñ to sab log tumheñ jānte hoñge 'anjum'
aur koī bhī na jaane to bigaḌtā kyā hai
Top Urdushayar.com