roz  aḳhbār  meñ  chhap  jaane  se  miltā  kyā  hai
apnī  tash.hīr  ke  afsāne  meñ  rakkhā  kyā  hai
tum  ne  jis  ko  ġham-e-ayyām  kahā  hai  yaaro
vo  mire  dard  kā  hissa  hai  tumhārā  kyā  hai
jhun-jhune  de  ke  mire  haath  meñ  koī  mujh  ko
qaid-e-hastī  kī  sazā  de  ye  tamāshā  kyā  hai
kal  talak  jo  mirī  tārīf  kiyā  kartā  thā
aaj  vo  bhī  mirā  dushman  hai  ye  qissa  kyā  hai
ham  agar  Duub  bhī  jaa.eñ  to  ubhar  sakte  haiñ
ham  ko  mālūm  hai  jiine  kā  salīqa  kyā  hai
ham  ne  sauġhāt  samajh  kar  to  use  apnāyā
ab  ye  kyuuñ  socheñ  ki  is  ġham  kā  mudāvā  kyā  hai
yuuñ  to  sab  log  tumheñ  jānte  hoñge  'anjum'
aur  koī  bhī  na  jaane  to  bigaḌtā  kyā  hai