zamāne  bhar  kā  jo  fitna  rahā  thā
vahī  to  gaañv  kā  mukhiyā  banā  thā
mirī  shohrat  ke  parcham  uḌ  rah  the
magar  maiñ  dhuup  meñ  tanhā  khaḌā  thā
hazāroñ  raaz  the  poshīda  mujh  meñ
maiñ  apne  aap  se  chhup  kar  khaḌā  thā
bahut  se  log  us  ko  dekhte  the
vo  ūñche  peḌ  par  baiThā  huā  thā
purānā  thā  madārī  kā  tamāshā
magar  vo  bhiiḌ  thī  rastā  uḌā  thā
fasādī  the  mire  hī  ghar  meñ  'anjum'
maiñ  un  ko  shahr  bhar  meñ  DhūñDhtā  thā