sar-e-bazm-e-talab  raqs-e-sharar  hone  se  Dartī  huuñ
ki  maiñ  ḳhud  par  mohabbat  kī  nazar  hone  se  Dartī  huuñ
bachānā  chāhtī  huuñ  us  ko  sūraj  kī  tamāzat  se
magar  maiñ  us  ke  raste  kā  shajar  hone  se  Dartī  huuñ
kabhī  us  ke  ḳhayāloñ  meñ  nahīñ  jaatī  thī  dariyā  par
aur  ab  ye  vaqt  aayā  hai  ki  ghar  hone  se  Dartī  huuñ
agar  ye  sach  hai  ḳhushbū  aur  mohabbat  chhup  nahīñ  sakte
to  kyuuñ  apnī  mohabbat  kī  ḳhabar  hone  se  Dartī  huuñ
maiñ  apnī  zaat  meñ  bhīge  paroñ  kā  bojh  huuñ  shāyad
kisī  be-bāl-o-par  ke  bāl-o-par  hone  se  Dartī  huuñ
mujhe  dushman  kā  bhī  dil  toḌnā  achchhā  nahīñ  lagtā
kisī  kī  bad-duāoñ  kā  asar  hone  se  Dartī  huuñ
bhalā  tashbīh  se  rutba  mirā  kyuuñ  kam  kare  koī
'qamar'  huuñ  is  liye  rashk-e-qamar  hone  se  Dartī  huuñ