Rehana Qamar

main apni zat na apne makan mein rahti hun

Rehana Qamar

Pakistan

maiñ apnī zaat na apne makāñ meñ rahtī huuñ

dhueñ phuul huuñ ātish-fishāñ meñ rahtī huuñ

karam hai us jo detā hai shukr ke mauqe

karam hai us jo maiñ imtihāñ meñ rahtī huuñ

ye vasl bhī hai kisī aur justujū jaisā

kisī ke paas kisī ke gumāñ meñ rahtī huuñ

mirī bahār abhī lauT kar nahīñ aa.ī

maiñ ḳhushk peḌ huuñ aur gulsitāñ meñ rahtī huuñ

mire muāmle pe aise chup hue haiñ log

ye lag rahā hai ki maiñ raftagāñ meñ rahtī huuñ

mire qabīle ko aadat hai kār-o-kārī

maiñ is ke ḳhauf se dār-ul-amāñ meñ rahtī huuñ

'qamar' jo bigḌā huā hai mizāj dariyā

use patā hai maiñ kachche makāñ meñ rahtī huuñ

Top Urdushayar.com