Shaista Sahar

kuchh bhi ho taqdir ka likkha badal

Shaista Sahar

kuchh bhī ho taqdīr kā likkhā badal
chāhiye tujh ko ki ab rastā badal
ba.ad meñ mujh ko dikhānā aa.ina
pahle apnā jā ke tū chehra badal
āgahī kā jis meñ ik rauzan na ho
us makān-e-zāt kā naqsha badal
merī vahshat hai sivā is se kahīñ
bārhā us se kahā sahrā badal
ne.amateñ duniyā kī sab mil jaatī haiñ
maañ nahīñ miltā magar terā badal
phir rahā hai kyuuñ tahī-kāsa liye
baar jo shānoñ pe hai rakkhā badal
TūTī-phūTī baan kā kyā aasrā
āsmāñ sar par uThā khatiyā badal
rasm-e-duniyā yuuñ badal saktī nahīñ
kab 'sahar' tujh se kahā tanhā badal
Top Urdushayar.com